
~*~Qismat~*~
Kahin Tum Apni qismat Ka Likha Tabdeel Kar Letay
To Shayed Hum Bhi Apna Rasta Tabdeel Kar Letay
Agar Hum Waqiaa Kam Hoslaa Hotay Muhabbat Mein
Marz Bharne Se Pehlay Dawa Tabdeel Kar Letay
Tumharay Sath Chalne Per Jo Dil Raazi Nahin Hota
Bohat Pehlay Hum Apna Faisala Tabdeel Kar Letay
Tumhari Tarah Jeenay Ka Hunar Aata to Phir Shayed
Makaan Apna wohi Rakhtay Pata Tabdeel Kar Letay
Judaai Bhi Na Hoti Zindagi Bhi Sahal Ho Jati
Jo Ek Dusray Se Masla Tabdeel Kar Letay
Bohat Dundlaa Geya Hai Yaadoon Ki Rim Jhim Mein Dil Saada
Woh Mil Jata To Hum Bhi Aaina Tabdeel Kar Letay
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Kyun
Kisi Se Itna Pyar Ho Jata Hai.
Ek Din Ka Intizar Bhi Dushwar Ho Jata Hai.
Lagne Lagte Hain Apne Bhi Paraey.
Or
Ek Ajnabi Per Aitbaar Ho Jaata Hai.
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Hasti Ko Muhabbat Main Fana Kon Karay Ga.
Ye Farz Siwa Meray Ada Kon Karay Ga.
Hathon Ki Lakiron Ko Zara Dekh Najomi!
Ye Dekh Merey Saath Wafa Kon Karay Ga.
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Do Kadam To Sab Chal Lete Hain Per
Zindagi Bhar Ka Saath Koi Nahin Nibhata.
Agar |Ro Kar Bhulayi Jaati Yaadein.
To Hans Kar Koi Ghum Na Chupata.
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Kisi Ne Kaha Tha Kisi Se Na Kehna!
Lage Chot Dil Pe To Khamosh Rehna!
Jahan Chot Khana Wahin Muskarana!
Magar Es Ada Se K Ro De Zamana!
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
:~:GAzal of Ghum:~:
This is Ghazal Written by ghum
Payar wo majhe se kar na saki
nafarat main us se kar na saka
Zindagi mere ho na saki
mout ko main rok na saka
Wo kase or ki ho gaye
main kase or ka ho na saka
Wo majhe bhool gaye
main use bhoola na saka
Wo has kar chale gaye
main ji bhar kar ro bhi na saka
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
:~:~~Bhula Tu Na Do Gay~~:~:
Meray Hamsafar Tum Bhula Tu Na Do Gay
Mera Dil Chura Kar Dagha Tu Na Do Gay
Agar Kheench Laye, Lagi Meray Dil Ki
Tu Mehfil Say MujhKo Utha Tu Na Do Gay
Koi Raaz Dil Ka Agar Tum Say Kaih Doon
Meray Dushmanon Ko Bata Tu Na Do Gay
Nazar Say Nazar Mere Takra Gaye Tu
Qasam Say Kaho Tum Saza Tu Na Do Gay
Meray Ho Tum Bhula Tu Na Do Gay
Mera Dil Chura Kar Dagha Tu Na Do Gay
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
~*~Uski Udasi Meri Kamzori Hai~*~
Suna hay ab kay woh udaas rehti hai,
Us se kahon kay woh udaas na ho Kion kay!
Us ki udaasi k sath,
us ki aankhain bhee Num num si lagtee hain,
Us k honth bhee Chup chup say lagtay hain,
Us k yeh chup honth or num aankhain,
Meree kamzori hain,
Us se kaho!
Woh udaas na ho,
Jo woh chahti hai,
mujh se lay lay,
Be shak Chahay mujhay na,
apne munn pasand sathi k sang ho jaye,
Kion kay!
Us k udaasi meree kamzori hai
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Na Woh Farishta Ho...!!!
Na Woh Farishta Ho Na Farishtey Jaisa Ho
Mujhay Talash Hay Us Ki Jo Meray Jaisa Ho
Meray Khaluos Ko Pehchanta Ho Bas Kafi Hay
Woh Koi Bhi Ho,Kahin Bhi Ho,Kaisa Bhi Ho
Jo Khuwab Denay Ko Qadir Ho Meri Aankhoon Ko
Meri Muhabbat Ko Pehchan Sakay Woh Aisa Ho
Meri Khatir Marney Ka Hosla Bhi Rakhta Ho
Agar Kabhi Rooth Jaoon May Us Say To
Muskra Kay Manayee, Woh Aisa Ho
Jo Baat Karey To Woh Nibha Bhi Sakey
Iradon Mein Woh Apney Chahtaoon Jaisa Ho
Dukhon Mein Hansney Ka Hunar Janta Ho
Ik Aisa HumSafar Jo Samander Ke Tarha Gehrah Ho
Us Kay Pyar Ke Thandak Ho Meray Liyae Aise
Key Woh To Bilkul Aasman Kay Chand Jaisa Ho
Woh Sirf Mera Ho Jo Nighaoon Main Haya Rakhta Ho
Umar Bhar Sath Chalay Woh Aisa Hooo...!!!
Mujhay Talash Hay Us Ke Jo Meray Jaisa Hooo...!!!
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Jub tum mujh say door hoovey…
Jub tum mujh say door hoovey zakhm kitnaa gehra tha
Merey sang behta darya tha saamnay peyasa sehraa tha
Zindagi dorahey par khari thii dil mein ajab baykali thi
Apni chahat mein bayintiha khaloos tha
Iss khaloos mein baypanah saadgee thi
Aur yahi saadgi hamari zindagi thi
Zindagi mein har taraf khooshi thi
Issi khushi nay phir hamein maghmoor bhi kiya tha
Kisi nay Qurbat may faaslon ka zehar bhar diya tha
Kuch to waqt kay thpeyrohn nay ranjoor kiya tha
To Kuch Qismat k andheron nay baynoor kiya tha
Mein nay khudhi tumhein khud say door kiya tha
Kisi aur k liyay jeenay par majboor kiya tha
Jeeti hoovi baazi ko khudhi haar diya tha
Apnay sukh ko terey sukh par nisar kiya tha
Zindagi say har naataa torh diyaa tha
Apnay hissey ki khushiyon say monh morh liya tha
Kiya khaber thi tum ehd-o-pemaan nibhao gay
Yay kub goomaan thaa k tum yoon lot aao gay
Tum milay ho to dil mein koi hasrat nahi rahi
Tumhein kho kar kuch paanay ki adat nahi rahi
Mein nay jo na maangi dua wo qabool hogai
Mujhay khud say bhi koi shikayat nahi rahi
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Muhabbat Dilon Ka Khudaa Hay…
Nakaam chahat k raqeeb dekhay tub yay bhed khula hay
Muhabbat k musafir ko manzil kho kar bhi rasta mila hay
Janay kitni moosafton k baad yaqeen yay gumaan hoova hay
Muhabbat dilon ka rishta hay muhabbat dilon ka khudaa hay
Muhabbat ka kuch aur sila nahi muhabbat aap apnaa sila hay
Sumander ki lehron ko sahil say takra kar kiya mila hay
lehron ki fitrat mein aanaa hay aur wapiss lot jaana hay
Muhabbat bhara daamun ho jub haath khaali reh jana hay
Mohabbat k baylos jazbay say dil ka rishtaa poorana hay
Iss rishtay k taqadoos ko har dil nay kab pehchanaa hay
Bohat badnaam yahan jhooti mohabbton ka afsana hay
Bohat baynoor ankhein hein bohat tareek zamana hay
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
~*~ yaad ~*~
Teri yaadon ke bina koi lamha guzaara nahin
ik pal nahin jab tumhe humne pukaara nahin
meri naakaamiyon ka itna bhi gam na kijiye
agar aap jeete hain to main haara nahin
ye naqsh-e-dard kaise utar jaaye chehre se
maine abhi aapka gam dil se utaara nahin
tere bin youn kat rahi dariya-e-zindagi mein
kashti bhi hai maajhi bhi hai,kinaara nahin
kar rakhaa hai jisne saare ghar mein ujaala
aansu hai mera ye koi toota hua taara nahin
kisko gale lagaa ke rooyen na-muraad hum
is bhari duniya mein apna koi sahaara nahin
mareez-e-ishq hai tamannai khudkushi ka ab
gehre hain dil ke zakhm,aur koi chaara nahin
wo aa ke poonchh den aansu hamari aankhon se
itna bhi hamare haq mein naseeb hamara nahin
itna hai bad-naseeb "KaMaL" ka ye jaha.n
loota hai zindagi ne jise maut ne maara nahin
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
***mein apne ghar se chal para**
Bohat dinoo ki baat thi
shabad per bahaar thi,
fiza bhi kush gawaar thi,
najane dil machal para,
mein apne ghar se chal para,
kisi ne mujh ko rok kar,
bhari adaa se tok kar,
kaha ke luat aaiyeh,
meri kasam na jaiyeh,
meri kasam na jaiyeh,
magar mujhe khabar na thi,
mahool per nazar na thi,
na jane dil machal para,
mein apne ghar se chal para,
phir sehar se mein aagaya,
khayal tha ke kuch pa gaya,
woh jo mujh se door thi,
magar meri zarror thi,
phir aik haseen shaam ko,
mein apne ghar se chal para,
gali ke rang dekh kar , nayai tarang dekh kar,
mujhe bari khushi hoi,
mein kuch issi khushi mein tha,
kisi ne jhankh kar kaha,
parayai ghar se jaiyeh,
meri kasam na aaiyeh,
meri kasam na aayeh,
woh haseen shaam hai,
bahar jis ka naam hai,
chala hoon ghar chooor kar,
na jane jaoga kider,
koi nahi jo tok kar,
koi nahi jo rok kar,
kahei ke loot aaiyeh,
meri kasam na jaiyeh,
meri kasam na jaiyeh.........
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Lauta do mere College Ke Din
Yeh Degree bhi lelo, Yeh Naukri bhi lelo,
Bhale mujhse lelo woh US ka Visa,
Magar mujhko lauta do college ka canteen,
Woh TeeKha Samosaa, Woh thanda saaa paani,
Woh Teekha Samosa, Woh thanda saaa paani…..
Woh College ki sabse - purani nishaanee,
Woh chai vaalaa jisko - saare kehte the... jaani,
Woh jaani ke hathon - ki 'cutting' chai meethi,
Woh chup-kese journal - mein jo bheji thi chitthi,
Woh padhte hi chitthi - tha uska bhadakna,
Woh chehre ki laali, woh aankhon kaa gussaa ©...
Woh teekha samosa, woh thanda saaa paani………..
Kadi dhoop mein - apni room se nikalnaa,
Woh project ki Khatir - tha dar dar bhataknaa ,
Woh lecture mein doston - ki proxy lagaanaa,
Woh sir ko chidana, aeroplane udaanaa,
Woh submission ki raton - ko jagna jagaanaa,
Woh vivas ke kisse, woh pracs ki kahani....
Woh teekha samosa, woh thanda saaa paani……….
Woh dena Bimaari - ka har time bahana,
Woh doosron ka assignment - ko apnaa banana,
Woh seminar ke din - pairon ka chat-patanaa,
Woh workshop mein din bhar - pasinaa bahanaa,
Woh slogans banana - aur Gym me rakhadna,
Phir Exam ke din ko – tha bechain hona,
Woh teekha samosa, woh thanda saaa paani……..
College ki thi - woh lambi si raatein,
Woh doston se tapre pe - pyaari si Baatein;
Woh gathering ke din ka – jo ladnaa Jhagadnaa;
Woh kudiyon ka yuhin - hamesha akadnaa;
Bhulaaye nahin bhool sakta hai koi -------
Woh college, woh baatein, woh guzara jamana…
Woh teekha samosa, Woh thanda saaa paani…….
Woh teekha samosa, Woh thanda saaa paani……
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Koi dost aisa banaya jaye
jiske aansuo ko palko mein chhupaya jaaye,
rahe uska mera rishta kuch aisa,
ki agar wo rahe udas to humse bhi na muskuraya jaye.....
Umid aesi ho jo jeeny ko majbor kare, raah aisi ho jo chanle ko
majbur kare. mehek kam na ho kabhi apni dosti ki, dosti aesi ho
jo milne ko majbur kare 1 dost ka dost say wada hai marte
dum tak dosti nabhayenge maut aye to tum se
pehle hum mar jayenge lakin ab yeh dosti kam ho yeh sah na payenge
dosti achi ho tu rang laati hai dosti gheri ho tu sab ko bhati hai dosti
nadaan ho to toot jati hai par dosti
hum se ho tu itihass ban jaati hai Phôôl Ki Tarah Bikhar Jayenge,
Sukun Bankar Dil Me Utar Jayenge.Mehsoos Karne Ki Kosish To Kejiye
Duur Hote Hue bhi Paas Nazar Ayenge
jab kabhi mosam may khushbo bekhar jaye jab kabhi chadni may rat
nikhr jaye bewaja
dhrkan machle to sumjh lena k hum nay yaad kia
Na chahat hay sitaron ki, Na tamana hay nazaroon ki,
Aap jesa ek dost mila tu kya zarorat hay hazaron ki.
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
>>>MAA<<<
Hoty hai azeem yun to har aik MAA ,
Meri MAA k jaisee nahi koyee MAA ,
Hain in ki DU'AYAIN to mein SHAADH hoon ,
In jaisa DUNIYAA mein hai kahan ,
In k hi PAAK QADMOON mein JANNATH meri ,
Bhatakty phiroon kyun mein sara jahan ,
Hai likhnay ko uthaya jo QALLAM mein nay ,
Laiken in ki SHAFQAT ho kaisay BAIYAAN ,
O MERI PYAARI MAA , MEIN TUJH PE QURBAAN ,
MEIN TUJH PE QURBAAN
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
**mujhey ghale se laga lo bohat udaas hoon main**
gham e jhan se choora lo bohat udaas hoon main
yeh intaizar ka dukh ab saha naheen jata
mujhey paas bula lo bohat udaas hoon main
meri har saance main milne ki pyaas palti hai
sulgh raha badan aur rooh jalti hai
bachaa sakoo toh bachaa lo bohat udaas hoon main
bhatak chooka hoon bohat zindgi ki raahoon main
mujhey aa ke choopa lo tum apni baanhoon main
bin tere mar na jaey kaheen tera saathi
mera sawal naan talo bohat udaas hoon main
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
~:* Ek muddat se dur the hum tum *:~
Ek zamane ke baad milna acha laga,
Sagar se gehri lagi aapki dosti,
Tairna to aata tha, par dubna achcha laga...
raat kya chali gayi .. sitare chale gaye,,,,,
gairon se kya gila jub apne chale gaye,,,,,
, jeet to sakte the ishq ki bazi hum bhi,,,,
par unhe jitane ki liye... hum harte chale gaye...
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Eye muhabbat terey enjaam pey rona aya
Janey kiyon aaj terey naam pey rona aya
Yu to her sham umeedon mein guzer jati thee
Aaj kuch baat hai jo shaam pey rona aya
Kabhee taqdeer ka matum kabhee duniya ka gila
Manzl-e- ishq mein her gaam pey rona aya
Jub huwa ziker zamaney mein muhabet ka
Mujh ko Apney dil-e- nakam pey rona aya
Eye muhabbat terey enjaam pey rona aya
Janey keu aaj terey naam pey rona aya
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
((( Khwaab Jhoote Kisi Ko Dikhaya Nahi Karte )))
Khwaab Jhoote Kisi Ko Dikhaya Nahi Karte
Mairey Dost! Yoon Kisi Ko Satya Nahi Karte
Ek Baar Yoon Kisi Ko Keh Ker Apna
Daman Phir Uss Say Churaya Nahi Karte
Uss Ke Intezaar Say Bhala Kya Ho Ga Haasil
Aane Ka Keh Kar Bhi Jo Aya Nahi Karte
Rakhte Hon Jo Dard Bhara Dil Apne Seene Mein
Doosron Ka Dil Phir Wo Dukhaya Nahi Karte
Do Qadam Saath Chal Ker Jo Judda Ho Jayein
Aisey Logon Ko To Humsafar Banaya Nahi Karte
Kis Tarhan Guzarti Ho Gi Zindagi Unnnnn Ki
Pehli MOHABBAT Ko Jo Dil Se Bhulaya Nahi Karte
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Bohat Tamanna thi pyaar may aashiyan banane ki,
Bana chuke to lag gayi nazar zamaane ki,
Usi ka karz hai yeh ashq meri aakhon main,
Mujhe sazaa mili bas itna muskuraane ki.
Tootey howay paimaane may jaam nahi aata,
Yeh ishq ke mareez ko aaraam nahi aata
Aye dil torne waale tune yeh to socha hota
Ke toota huwa dil kisi ke kaam nahi aata.
Har Dharkan may ek raaz hota hai,
Baat ko batanay may ek andaaz hota hai,
Jab tuk thooker na lagey bewafaai ki,
Har kisi ko apne pyaar per naaz hota hai.
Aakhon main hai gham ke aansoo,
Aur hoton pe fariyaad hai,
Aur ab kya hai paas humaare,
Sirf ek teri yaad hai.
Woh hamarey nahi tu kya ghum hai,
Hum onhi ke hai, yeh kya kam hai,
Na ghum kam hai, na ansoo kam hai,
Dekhtey hai rulaaney walay may kitna dum hai. 
nazar mean zakham tabasum chopa chpa kay mila
khafa to tha mager muskara kar mila
mean jis ko dhondta raha nazar kay rasty mea
mujy mila bhi to zalim nazar jhuka kay mila
suna tum nay hum kia kah rahay hai
tumhary Dil mean zalim hum bhi rah rahay hai
nahi hai koi ghum judai ka
to phir kiyo ansoo bah rahay hai
humay fursat thee duniya kay ghum say
tumhara ghum bhi hum sah rahay hai 
tuj ko day kar phool choon liye hai kantay mean nay
pata na tha is tarha badal jao ge tum
kis tarha judai kay din katay hai mean nay
ies liye tarey saray dukh banty hao mean nay 
sawaa koi tho kar tark-e-taaluk ka, phir dekh mere
hontho pe machalte jawaab kitne hain.
sawaab samaj kar woh dil ke tukde karte rahe,,
gunaa samaj kar humne gilaa nahi kiya....
is baar kaise modh pe le ayi hai zindagi,
manzil hai saamne par rah ghuzar nahi.....
Dil bhi diya hai tum ko piyar bhi kiya hai
gevan ka har pal teri yadoo mean jiya hai
ankhoo ko intazar ki kharii sonp kar
neend koi laygaya apnay safar kay sath
fitrat badal chooki hai dile baykarar ki
adat si per gaye hai intazar
roshni ka nasaab lagi hoo
tum mujy aftab lagti ho
gul sa chara chopa kay inchal mean
khushbovo ka hajab lagti ho
ipnay laab ki haseen satroo say
shari ki kitab lagti ho
sari duniya ka hussan dekha hai
aab tum lajawab lagti ho
tum ko chaha hai toot kar mean nay
kachi umer ka khavab lagti ho
munfarid eis tarha kaliyo mean
koi khilta hova gulaab lagti hoo
tu taza khushboo hai naram-o-moliem surkh gulab ki
mean to jaan mahek ho taray lazawal piyar ki
tu khalish bankar rahti hai meray Dil kay ashiyanay mean
tu banazeer tasveer hai apnay haseen tar Parverdigar ki
tu piyar hi piyar hai mean teri awaz hooo
tu eik nirali ada hai apni sharmo haya ki
fursat mean bani hai yani tanhai kay roshan lamhat mean
tu mahboob mera hai kasam hai tum ko teri pakiza wafa ki 
dard dil ki dava koi to ho gee
is jurm ki saza koi to ho ge
jis ko eis duniya nay rusva kiya hai
us shaks ki khata koi to ho gee
manjdhar kay darmiyan koi to bach nikla
us kay pichay duva koi to ho ge
muhabat karna guna hai tuuuuuuuuuu
ies guna ki saza koi to ho gee
zakham kha kar bhi tum ko chatay rahay Ali
ies wafa ki koi to waja ho ge
hum shikasta Dil hain to parayshan to tum bhi hooo
andar say rayza rayza meri jaan tum bhi hoo
hum bhi hain eik ujarayhuvay shahar ki tarha
ankhay bata rahi hain kai varaan tum bhi hoo
mil jaye hum to kasa suhana safar katay
khali hain hum bhi bay sarosamnan tum bhi hoo
apnay hatho ki lakiroo main saja lay muj ko
main hoon tera naseeb apna banalay muj ko
main jo kanta ho to chal muj say bacha kar daman
main hoon ager phool to joray main saja lay muj koo
apnay hatho ki lakiroo main saja lay muj ko
main hoon tera naseeb apna banalay muj ko
main jo kanta ho to chal muj say bacha kar daman
main hoon ager phool to joray main saja lay muj koo
kadam kadam par milay eik nayii khushi tum ko
andhari raat main mil jaye roshni tum ko
hai meri duva lag jaye usay
mil jaye meri hayaat kay lamho ki zindage tum koo
saaz Dil toot gaya main gawoo kasay
rothay sajan ko main manaoo kasay
mar mar kay jo banai hai tasveer muhabat
ab apnay hathoo say milatooo kasay
teri furqat kay yah lamhy guzaroo kasay
Dil ki nagri ko teray baad basaooo kasay
rasta dekh rakhi hain tera meri ankhaie
rastay main jo deevar ahi giraoo kasay
teray Qadmoo kay nishan bhi nahi miltay
tujay panay ka liye ayo to ayoo kasay
fasalay dard barhanay lagay Dil ka
Ali sochata hoo ghataoo to ghataoo kasay
kaha ho tum loag tera pata pouchtay hai
kar gaye hai tera yah hall kia pouchtay hia
tu to liya karta tha naam us ka har sans say pahlay
par kio ki us nay teray saath jafa pouchtay hai
khata tha to jis ki muhabat ki Qasmain hazaroo
kaha ab us ki woh wafa pouchtay hai
kash ajaye to un ki bato ka jawab lay kar
ab to loag muj say kia kia pouchtay hai 
MUSKAAN
Her Aik Muskurahat Muskaan Naheen Hotee
Mohabbat Ho Ya Nafrat Asaan Naheen Hotee
Aansoo Khushi K Hoon Ya Ghum K
Hotay Hain Aik Jaisay
In Aanso'on Ki Koi Pehchaan Naheen Hotee
Her Aik Muskurahat Muskaan Naheen Hotee
Baat Hai Wohee Per Matlab Badal Gaye Hain
Dil Dagmaga Gaya Tha Per Hum Sambhal Gaye Hain
Aatay Hain Din Woh Bhee Jaisay Hain Log Lekin
Apna Sab Kuch Hai Per Jaan Naheen Hotee
Her Aik Muskurahat Muskaan Naheen Hotee
Is Jahan Main Chehray Bhee Aik Jaisay
Ghunghat Bhee Aik Jaisi Chehray Bhee Aik Jaisay
Jantee Hain Nazrain Pehchantee Hain Nazarain
Apni Parai Suraat Anjaan Naheen Hotee
Her Aik Muskurahat Muskaan Naheen Hotee
Yeh Dil Bhee Ajab Shay Hai Ho Jaye Jab Akaila
Rehta Hai Sath Us Ka Daryaoon Ka Aik Maila
Duniya Chhoot Jaye Her Aas Toot Jaye
Mehfil Ye Dil Ki Kabhee Veraan Naheen Hotee
Her Aik Muskurahat Muskaan Naheen Hotee
Mohabbat Ho Ya Nafrat Asaan Naheen Hotee








