Tahayee hai ab mera saathi
Koi bhi gham sahna ab hai nahin baki
Sharab ko bana liya hai
Hum thi talaash aapki bawafai ki
Mili nahin jo mujhe,
Talash karta raha uski
Apne dard ko alfazon mein dhalne ki ab humari halat na rahi
Unse kya shiqayat karte humari kabhi aisi adapt hi na rahi
Log puchte hain ab lavon pe humari pehle jaise hansi na rahi?
Ye duniya ko hum samjha to sakte hain apni bebaaki se
Par hum apne iss dil ko kaise samhajyein? “aap humari na rahi”
Dagamate hai kadam aankhein yun hi ho jaati hai nam
Barbas hi main ruk jaaya karta hon chalke do kadam
Zamaane wale ab humein paagal samajh ne lage hain
Koi ye na samjhe asar hai ye teri bewafayee ka, o-bewafaa sanam
Saath tu nahin par teri yaad ko humne saath paya
Humne bhi to apki yaad mein ashko ko apnaya
Ye taqdeer ka khel hai ki yahan kise kya mila
Aap ke bina yahan humne to sirf tanhayee ko paya
Badi mehnat se meri duniya lutayii hogi
Meri mohabbat ki hasti bhi mitayii hogi
La tere pairoon mein marham laga doon,
Mere dil ko thokar marne mein chot tujhe bhi aayi hogi
Pal pal yaad karta hoon tujhko
Par khabar nahin hai tujhko
Har chehre main dhoondta hoon tujhko
Par tu aapna didar karate hai kisi aur ko
Iqraar hai mujhe, pyar karta hoon tujhko
Yakeen tha tu sirf milegi mujhko
Par gale lagaya tune kisi aur ko
Tuta mera khwab, chot lagi mujhko
Phir bhi pyar karta hoon main tuhko
Khushnaseeb hoon main ki mujhe yaar ki bewafayee mili
Khushi mili nahin par,
jeene ke liye gham to mili
Mehboob ki dilkash jubaan ki jagah,
apne dil ki rone ki awaz to mili
Haath me unka haath na sahi,
par dil mein jakhm to mili
Mehboob ka pyar na sahi,
unki nafrat to mili
Unki wfa na sahi par,
unki bewafayee to mili
Zindagi guzarne ke liye unki yaadein to mili
Dil ki duniya tootne ke baad sab rote the
Hum the ki pagalon ki tarah hanste the
Yeh hale dil hum kaise sunaye ki
Takleef na ho unko iss liye akele rote the
Jyun Jyun waqt ka kafila gujarta gaya
Tere mere darmiyaan faasla badhta gaya
Socha tha hoga kabhi sapno se sundar aashiana apna
Manzil wanhi rahi par shayad dur reh gaya koi apna