Kuch hain jo bolkar apni baat samne rekhte hain
Hum hain jo aankhon se izhaar karte hain
Humein adat hai kinare aakar nao doobane ki
Woh hain, ki toofan main bhi samandar paar kiya karte hain
Mujhe bhul jaana agar ho sake
Mat yaad karna agar ho sake
Rahe yaad kyon bhul jaane ki baat
Na kabhi aansu bahana agar ho sake
Mujhe maaf karna mere humsafar
Kahin kho gaya main tumhe kho kar
Maine tumhe gam diya hai magar
Sada muskurana agar ho sake
Mat yaad karna agar ho sake
Teri wafa ne mujhe khud aur sitam karne na diya
Jo aaye palkon par moti unhe jharne na diya
Maine samhja hai khud ko sada amanat teri,
Isi khayal ne mujhko kabhi marne na diya
Tujhe bhoolkar bhi na bhool payenge hum,
Bas yahi ek wada nibha payenge hum.
Mita denge khud ko bhi jahan se lekin,
Tera naam dil se na mita payenge hum
Create a free website at Webs.com